Mujhko Uski Zaat Se Koi Gilla Nahin Tha
Mujhko Uski Zaat Se Koi Gilla Nahin Tha
Garche Zubaan Ka Talkh Tha Dil Ka Burra Nahin Tha
Jo Jhuk Gaya Khada Hai Vo Aandhi Ke Baad Bhi
Toota Hai Vo Shajar Jo Zara Bhi Jhuka Nahin Tha
Jiski Uraan Dekh Kar Sab Danggh Reh Gaye
Be-Baal-O-Par Laga Tha Jab Tak Urra Nahin Tha
Paani Ki Boond Boond Ko Tarsa Tha Har Bashar
Kaise Mein Maan Lu Yeh Azaab-E-Khuda Nahin Tha
Mehdood Kar Gaya Hai Mujhe Meri Zaat Mein
Samjah Tha Jis Ko Mein Ke Vo Mujh Se Juda Nahin Tha
“Naaz” Kis Tarah Se Manaaugi Ab Usse
Rootha Hai Mujh Se Vo Jo Kabhi Roothta Nahin Tha
Latest Comments
Rulane ko apni hi kafo hai
Ishq mein chaar pal ki zindgani kafi hai.
Dubne ke liye sammudar ki kya jarrurat hai.
Apni palkon se tapka wo pani hi kafi hai.
Rulane ko apni hi kahani kafi hai
Ishq mein chaar pal ki zindgani kafi hai.
Dubne ke liye sammudar ki kya jarrurat hai.
Apni palkon se tapka wo pani hi kafi hai.