Zakhm Bhi Khana
Zakhm Bhi Khana Tabassum Bhi Labo’n Par Rakhna
Kis Ki Taqleed Hai Aaiiney Pe Pathhar Rakhna
Phir Parakhna Meri Masoom Talab Ko Ai Dost
Chund Angaarey Bhi Pholo’n K Barabar Rakhna
Aasma’n Lakh Mujhey Sajda E Ta’azeem Karey
Mai Na Bhuloonga Magar Paoo’n Zamee’n Par Rakhna
Goonj Sakti Hai Kisi Waqt Koi Tishna Sada
Apni Tehveel Mai Darya Na Samandar Rakhna
Bhigi Palko’n Se Saza Hijr Ki Dene Waley
Mujhse Kab Hoga Ye Manzar Pas E Manzar Rakhna
Kal Bhi Rona Hai Tumhe Subho Ki Mayyat Pe FAHEEM
Kuchh Lahoo Dida E Garya’n Mai Bacha Kar Rakhna
Latest Comments
anjame ishq kuch na ho saka sirf is wajah se
ae dosto
ke wo zamae se darta raha aur hum unki jhukti nazro se
tu pas hoti hai to hwaye chlti hai…….
…
…. ….
…………..
tere bgair to meri saanse bhi ruk jati hai…