Khwahishon Ko Samet Kar Zinda Hun Main
Khwahishon Ko Samet Kar Zinda Hun Main
Aukat Nhi Hai Pura Karne Ki Ise
Bus Ek Tera Deedar Muft Main Milta Hai Mujhe
Yahi Jeene Ki Wajah Jise Zinda Hun Main..!!!
Khwahishon Ko Samet Kar Zinda Hun Main
Aukat Nhi Hai Pura Karne Ki Ise
Bus Ek Tera Deedar Muft Main Milta Hai Mujhe
Yahi Jeene Ki Wajah Jise Zinda Hun Main..!!!
Unhe Gairon Se Kab Fursat
Mai Apne Gam Se Kab Khali
Chalo Ab Hogaya Milna
Na Tum Khali Na Ham Khali..!!!
Tu Ghar Na Mile Toh Bata Is Duniya Ka Kya Karoon
Tere Bagair Jeene Ka Khawab Dekha Nahin Kabhi..!!!
तू गर ना मिली तो बता इस दुनियाँ का क्या करूँ.!
तेरे बगैर जीने का खवाब देखा नहीं कभी.!!
Jaan Saka Na Koi “Hamdard” Zindagi Ki Sachchai Ko
Na Jane Kitne He”Khaak” Howe Esi Taran Karte Karte..!!!
Kyun Marte Ho Bewafa Sanam Ke Liye
Milega Na Dupatta Kafan Ke Liye
Marna Hain To Mro Watan Ke Liye
Milega Tiranga Kafan Ke Liye
<<<< JAI HIND >>>>
Wo Dhoond Rahe The Humein
Shayad Unhe Hamari Talash Thi
Per Jahan Wo Khare The
Wahi Dafan Hamari Laash Thi..!!!
Main Samane Me Badnaam Fakat Is Liye Hoon
Mujhe Logon Ki Tarah Badal Jana Nahi Aata
Taras Jaoge Hamare Labon Se Sunne Ko
Ik Ik Lafz Aye Dost Ham Pyaar Ki Baat To Kya
Shikayat Bhi Karna Chor Den Gay..!!!
Churao Nazrein, Churao Daman
Badal Kay Rasta Brhao Uljhan,
Tumhain Duaon Se phir Bhi Maine
Jo Pa Lia to Kia Karo Gay???
Tera Chehra Aankhon Main Basa Rehta Hai
Na Socha Tha K Aisa Bhi Zakham Khayein Ge
Kuch Aisa Ghum Mila Hai Teray Jane K Baad
Shayed Ab Eid Kabhi Na Hum Manayen Ge
Aajnabee Halaat Se Bhi Hans Ke Milna Chahiye
Kiya Khabr Barsoon Ki Hai Ya Lamha Bhar Hai Zindagi
Sans Ke Bas Ek Jhoke Ka Safar Hai Zindagi..!!!
Khatam Hue Ab Wo Ishq K Baab Sare
Tere Intizar K Wo Azaab Sare
Sadiyon Se Jo Bojh Utha Rkha Tha Pani Ka
Aj Baha Diye Me Ne Wo Ankhon K Sailab Sare
Krne The Me Ne Boht Se Swal Us Se Mgr
Uski Khamoshi Ne De Diye He Jawab Sare
Krta Rha Me Muddato Se Ibadat Uski
Pr Aj Me Ne B Bhula Diye He Wo Adaab Sare
Boht Bheje The Salam Use Paigham Use Mgr
Wo Tb Aya Jb Bujh Gae Zndgi K Aftab Sare…!!!
Kash Main Tere Hasin Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Pyar Sy Bade Chao Sy Bade Araman K Sath
Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Or Betabi Sy Furqat Ke Khizan Lumhon Mein
Tu Kisi Soch Mein Dobi Jo Ghumati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata
Jb Kbhi Mud Mein Aaa Kr Mujhe Chumaa Karti
Tere Honton Ke Shiddat Sy Main Dahak Sa Jata
Raat Ko Jb Bhi Tu Nindoon Ke Safar Pr Jati
Marmari Haath Ka Ek Takiya Banaya Karati
Main Tere Kan Se Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfoon Ko Tere Gal Ko Chuma Karta
Jab Bhi Tu Band Qaba Kholane Lagti Janan
Apni Aankhon Ko Tere Husn Se Khera Karta
Mujh Ko Betab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Ruh Ke Gulashan Mein Mahakata Rehta
Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakata Rehta
Kuch Nahi To Yahi Benam Sa Bandhan Hota
Kash Main Tere Hasin Hath Ka Kangan Hota…!!!
Tanha chaand ko dekha hoga
Koi yaad to aaya hoga ….
Zabt ka sheesha chatkha hoga
Yaad ne kankar phenka hoga
Sawan ki bheegi khushbu ne
Saanso ko sulgaya hoga …
Ghagar se chimti hai radha
Shyaam jo usko chhoota hoga
Ham kya Khaak ghazal likkhen jab
Angdaai par pehra hoga ….
Tere taiwar dekh ke aksar
Mousam rang badalta hoga.
Wasl ki chaah me tapta sooraj
Sagar doob ke rota hoga ..
Saonp ke maojon ko bechaini
Pyasa sahil sota hoga ….
Tara toota aur dil dhadka
Tujhe kisi ne maanga hoga..!!!
Tapti Dopahar Ki Chaya Hai Har Pal Uska Saaya Hai
Wo Meri Maa Hai Wo Hai To Har Pal Ek Aas Hai
Wo Mere Jivan Ka Viswash Wo Hai To Manjil Pass Hai
Koi Aur Nahi Sirf Meri Maa Hai Jo Mere Pass Hai
Pooja Ghar Kaa Jagmagata Deep Hai
Wo Meri Haar Subah Kaa Sangeet Hai
Wohi To Har Pal Pass Hai Wo Meri Maa Hai
Choke Ki Khad Khad Mein Hai Jivan Ke Hr Pal Me Hai
Kya Liku Uske Liye Shawd Bhi Kaam Hai
Mere Bas Yahi Ahsaas Hai Jo Harpal Hai
Mere Saath Mein Wo Hai Meri Maa…!!!!