Valentines day sms ,April fool sms 2014, Easter sms Wishes, Love quotes sayings, Romantic sms messages poetry & Sad text messages in Urdu and Hindi

Barason messages

Barason Shayari in Urdu for your friends. Barason poetry , ghazal , poem and sher o shayari in Hindi. Best 1 line , 2 line and 4 line Barason shayari Collection Online. All latest Barason & Urdu Shayari, Hindi Shayari 2015, Urdu Poetry, SMS, Sad Shayari, Romantic Poetry sms, Ghazals & Shair o Shayari SMS on Paperpk.com/Shayari

Kabhi kabhi yun bhi hum ne apne hi ko bahalaya hai – Nida Fazli

Posted in Bahalaya,Barason by Anila

Kabhi kabhi yun bhi hum ne apne hi ko bahalaya hai
jin baton ko khud nahi samajhe auron ko samajhaya hai
hum se pucho izzat valon ke izzat ka hal kabhi
hum ne bhi is shahar mein reh kar thoda naam kamaya hai
usase bichde barason bite lekin aj na jane kyon
aangan mein haste bachon ko bekaran dhamakaya hai
koi mila to hath milaya kaheen gae to baten ke
ghar se bahar jab bhi nikle din bhar bhoj uthaya hai

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli

Log har mod pe ruk ruk ke sambhalate q hain – Rahat Indori

Posted in Barason,Sambhalana by Anila

Log har mod pe ruk ruk ke sambhalate q hain
itna darate hain to phir ghar se nikalate q hain
main na jugnu hun diya hun na koi tara hun
roshni wale mere naam se jalate q hain
neend se mera ta’alluq hi nahi barason se
khwab aa aa ke meri chat pe tahalate q hain
mod hota hai javani ka sambhalane ke liye
aur sab log yahin aake phisalate q hain

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahat Indori