Allama Iqbal Shayari Ghazal Poems and Poetry Collection
Fitrat Ny Na Bakhsha Mujhy Andesha-e-chaalak,
Rkhti Hay Mgr Taqaat-e-parwazz Meri Khaak
Woh Khaak Ki Hay Jiska Janoon Saiqaal-e-idraaak,
Woh Khaak Ki Jibril Ki Hay Jis Sy Qabba Chaak
Woh Khaak Ki Parwaa-e-nasheman Nhi Rkhti,
Chunti Nhi Pehnna-e-chamaan Sy Khaas-o-khashaak
Is Khaak Ko Allah Ny Bakhshe Hain Woh Aansu,
Krti Hain Chamak Jinki Sitaaron Ko Araaq-naak..!!!
……………………………………………………..
Pareshan Ho Ky Meri Khaak Aakhir Dil Na Baan Jaye,
Jo Mushkil Ab Hay Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Baan Jaye
Na Kr Dein Mujhko Majbur-e-nawa Firdaus Mein Hoorein,
Mera Soz-e-daroon Phir Garami-e-mehfil Na Ban Jaye
Kbhi Chhodi Hui Manzil Bhi Yaad Ati Hay Raahi Ko,
Khatak C Hay Jo Seene Mein Ghum-e-manzil Na Baan Jaye
Banayya Ishq Ny Dariya-e-na-paida Karaan Mujhko,
Yeh Meri Khud Nigha Daari Mera Sahil Na Baan Jaye
Kahin Is Aalam-e-be Rang-o-boo Mein Bhi Talaab Meri,
Wahi Afsana-e-dumbaala-e-mehmil Na Baan Jaye
Urooj-e-aadam-e-khaaki Sy Anjoom Sehme Jaty Hain,
Ki Yeh Toota Hua Taara Mah-e-kaamil Na Ban Jaye..!!!
……………………………………………………..
Aflak Sy Aata Hay Naalon Ka Jawab Akhir,
Krty Hain Khitab Akhir Uthty Hain Hijaab Akhir
Ahwsaal-e-Mohabbat Mein Kuch Farq Nhi Aisa,
Sozz-o-tab-o-taab Awwal Sozz-o-tab-o-taab Akhir
Main Tujhko Batata Hoon Taqdeer-e-umaam Kiya Hay,
Shamsheer-o-sanna Awwal Taaoos-o-rabaab Akhir
Maikhanna-e-Europe Ky Dastoor Niraly Hain,
Laate Hain Suroor Awwal Dete Hain Sharaab Akhir
Kia Dabdaba-e-Naadir Kia Shaukat-e-Taimoori,
Ho Jate Hain Sb Daftaar Gharq-e-Mayy-e-Naab Akhir
Khalwat Ki Ghaadi Guzri Jalwat Ki Ghaadi Ayi,
Chhutne Ko Hay Bijli Sy Agosh-e-Sahaab Akhir.
Tha Zabt Bahot Mushkil Is Sail-e-Maani Ka,
Keh Daale Qalandar Ny Asraar-e-Kitaab Akhir..!!!
