Valentines day sms ,April fool sms 2014, Easter sms Wishes, Love quotes sayings, Romantic sms messages poetry & Sad text messages in Urdu and Hindi

Hindi Shayari on Beauty messages

beauty poetryHindi Shayari on Beauty shayari sms in Urdu for your girlfriend. Hindi Shayari on Beauty poetry , beautiful shayari ,ghazal , poem and sher o shayari in Hindi. Best 1 line , 2 line and 4 line Hindi Shayari on Beauty shayari Collection Online.

If you are looking for a sad or funny sher on beauty or shayari for beautiful girl in Hindi or Urdu then paperpk is the best place search beauty quotes shero shayari.

beautiful shayari in Hindi on friendship

Posted in Uncategorized by admin

Following are some best peaces of beautiful shayari for friendship in Hindi which will help you make friend or girlfriend and will express the feelings of your heart .

Dosti Karo To Hamesha Muskura Ke,
Kisi Ko Dhokha na Do Apna Bana Ke,
Kar lo yaad Jab Tak Hum Zinda hain,
Fir na Kehna Chale Gaye Dil Mein Yaadein basa ke.

Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain,
Hum doston me tumhe sabse azeez maante hai.
Teri dosti ke saaye mein zinda hain,
Hm to tujhe khuda ka diya hua tabeez mante hai.
beauty shayari

लोग कहते हैं ज़मीं पर किसी को खुदा नहीं मिलता,
शायद उन लोगों को दोस्त कोई तुम-सा नहीं मिलता……!!

किस्मतवालों को ही मिलती है पनाह किसी के दिल में,
यूं हर शख़्स को तो जन्नत का पता नहीं मिलता……….!!

अपने सायें से भी ज़यादा यकीं है मुझे तुम पर,
अंधेरों में तुम तो मिल जाते हो, साया नहीं मिलता……..!!

इस बेवफ़ा ज़िन्दगी से शायद मुझे इतनी मोहब्बत ना होती
अगर इस ज़िंदगी में दोस्त कोई तुम जैसा नहीं मिलता…!!

If you know more beautiful shayari / poetry in Hindi on friendship then share with the other readers in the comments section below

Husn Jub Meherbaan Ho To kya Kijiye

Posted in Romantic poetry by Alyas

Husn Jub Meherbaan Ho To kya Kijiye
Ishq ki Maghfirat ki dua kijiye

Is Saleeqy Se Un Se Gila kijiye
Jb Gila kijiye Hans Diya Kijiye

Dusron Par Agr Tabsra Kijiye
Saamny Aayina Rakh Liya kijiye

Aap Sukh Se Hain Tark E Talluq K Bad
Itni jaldi Na Ye Feslaa Kijiye

Zindgi kat Rahi Hai Barre Chain Se
Or Gham Hon To Wo Bhi Ataa Kijiye

Aqal O Dil Apni Apni Kahen Jb Khumar
Aqal Ki suniye,Dil Ka Kaha Kijiye.

Na Husn Pe Behkte Hain

Posted in Romantic poetry by Alyas

Romantic Poetry

Na Husn Pe Behkte Hain
:
Na Jism Ka Nisha Karte Hain
:
Ye Tu Mere Yar Ko Bi Nahi Ma’aloom
:
Ham Us Ki Kis Ada Pe Marte Hain ?

Na Husn Pe Behkte Hain Na Jism Ka Nisha Karte Hain

Posted in Sad Shayari by Alyas
Na Husn Pe Behkte Hain Na Jism Ka Nisha Karte Hain
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Ye Tu Mere Yar Ko Bi Nahi Ma’aloom Ham Us Ki Kis Ada Pe Marte Hain,,,,,,,,,,,,,,

Nazar Nazar Ka Farq Hota Hai Husn K Nahi Iqbal

Posted in Sad Shayari by kiran

Nazar Nazar Ka Farq Hota Hai Husn K Nahi Iqbal

Mehbob Jis Ka Bi Ho Jaisa B Ho Be Misal Hota Ha

husn shayari sms

Posted in Uncategorized by Anila

Noor-E-Chand Hai Aaftaab Hai,

Uska Husn To Lajawab Hai,

Jinke Deed Ko Tarasti Hai Hamari Nigahein,

Wo Pari Hai Ya Mallika-E-Shabab Hai,

Unki Julfein Kaali Raat Ki Tarah,

Uljho To Ek Khwab Hai,

Jheel Si Hain Nigahein Unki,

Gehrai Ya Khuda Be Hisaab Hai,

Badan Lachila, Honth Rasile,

Jaise Ki Ek Gulaab Hai, Hum Wo

Hindi shayari on beauty

Posted in Uncategorized by Anila

Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai.

Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!

Gam-e-ulfat main hum had se gujar gaye,
ki unke isqe main hum deewane ban gaye,
humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,
vo zalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye

Indian beauty poetry

Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
ishq to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,
phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain

Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye Na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na…

Na misaal milegi tere husn ki iss kaynaat main,
tu itni kasis bhari khoobsurti kahain se layi hai,
labo hain maykhane aur ankhain chalakte pamane,
aye khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai.

Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye..

Darta huin kahin main pagal na ban gaoin,
teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban gaoin,
ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
chali ja meri nazro se door kahin main shayar na ban jaoin

Dekhi hai humne duniya jahaan husne-e-bazar ke,
too uhin ruk jaye hamari nazar ye itni sasti nahi,
koi hoor, koi noor ya koi zannat ki pari ho to kya,
dava hai hamara tik jaye tere samne aisi koi hasti nahi

Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi,
woh sochte hai hum roye hi nahi,
woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho,
hum hai ki ek umr se soye hi nahi…

Tere pyaar mein mere sanam,
hum khud se mulaquat kar bhete
Chalte chalte bas yunhi achanak,
hum zindagi se mulaquat kar bhete.

Kashish honi chaiye yaad karne ki,
lamhe to apne aap mil jate hain.
Waqt hona chaiye sath guzarne ke liye,
bahane to apne aap ban jate hain..

 

Share with us more ….Hindi shayari on beauty …in comments section below

Khush hun ki mera husn-e-talab kam to aaya – Shakeel Badayuni

Posted in Duniya Shayari,Nazar by Anila

Khush hun ki mera husn-e-talab kam to aaya
khali hi sahi meri taraf jam to aaya
kafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap ka paigam to aaya
apanon ne nazar pheri to dil ne to diya sath
duniya mein koi dost mere kam to aaya
wo subah ka ehasas ho yan meri kashish ho
duba hua khurshid sar-e-bam to aaya
log un se ye kahate hain ki kitne hain “shakeel” aap
is husn ke sadaqe mein mera naam to aaya

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni

Bal be garur-e-husn, zamin par na rakhe paon – Ibrahim Zauq

Posted in Dil Shayari,Mayassar by Anila

lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale
tum aag lene aaye the kya aaye kya chale

Bal be garur-e-husn, zamin par na rakhe paon
maninde aaftab wo be naqashe pa chale
kya le chale gali se teri hum ke jun nasim
aaye the sar pe khak udane, uda chale
aaluda chashm mein na hui surma se nigah
dekha, jahan se saf hi ahale safa chale

sath apne le ke tausane umare ravan ko aah
hum is saraye dahar mein kya aaye kya chale

fikare qanayat unko mayassar hui kahan
duniya se dil mein le ke hirs-o-hava chale

ae ‘zauq’ hai gazab nigahe yar, alhafeez!
wo kya bache ke jis pe ye tir-e-qaza chale

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq

Husn phir fitnagar hai kya kahiye – Majaz Lucknawi

Posted in Dil Shayari,Zindagi Shayari by Anila

husn phir fitnagar hai kya kahiye
dil ke janib nazar hai kya kahiye
phir wohi rahaguzar hai kya kahiye
zindagi rahabar hai kya kahiye
husn khud pardadar hai kya kahiye
ye hamari nazar hai kya kahiye
aah to be-asar thi barason se
nagma bhi be-asar hai kya kahiye
husn hai ab na husn ke jalve
ab nazar hi nazar hai kya kahiye
aj bhi hai ‘majaz’ khaknashin
aur nazar arsh par hai kya kahiye

 

 

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Majaz Lucknawi

Phool Khud Apney Husn Mai Gum Hain

Posted in Phool-Kaante by admin

Phool Khud Apney Husn Mai Gum Hain Unko Kab Chahne Ki Fursat Hai
Aao Kaanton Sey Dostee Ker Lein Jinko Hamdardon Kee Zaroorat Hai

Kafi Hai Husn Dil Ko Behlane Ke Liye

Posted in Dosti Shayari by admin

Kafi Hai Husn Dil Ko Behlane Ke Liye
Mohabbat Karlo Dil Ko Dukhane Ke Liye
Chahe Pare Gam Se Vasta Kabhi
Ek Dost Rakhna Gamo Ko Bhulane Ke Liye

Shayari on Beauty for beautiful girls

Posted in Husn Shayari by admin
The Beauty Of A Woman
Is Not In The Clothes She May Wear,
Nor The Way She Combs Her Hair.
The Lovely Figure That She Carries,
Or Any Innocence Before She Marries
The Beauty Of A Woman
Is Seen In The Depth Of Her Eyes
The Place Where Her Love Resides.
Where The Doorway To Her Heart Is Seen
If You’re Invited In By Some Lovely Colleen
 Beauty Poetry
The Beauty Of A Woman
Is Where Virtue And Passion Convene
Not In Any Place She May Have Been
And Not Things Superficial As A Facial Mole,
Her True Beauty Is Reflected In Her Soul.
The Beauty Of A Woman
Is The Care And Comfort Offered To Others
And Their Amazing Skill At Being Mothers
The Unselfish Loving And Giving She Shows
Her Beauty With Passing Years, Only Grows
Please share with us more poetry or shayari on beauty of girls in comments section below