Aye Khuda Tu Yaad Aaya
Aye Khuda Tu Yaad Aaya
Fiza Ne Jab Dariya Mein Pani Ko Sehlaya,
To Jitne Bal Khake Paani Kinaron Se Takraya,
Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.
Jab Baarish Ki Boondon Ne Dharti Ko Chooma,
Humne Zameen Par Bikharte Sitaaro Ko Paya,
Jitne Sitaaron Ko Saawan Ne Barsaya,
Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.
Fiza Ne Jab Gulshan Mein Foolon Ko Mehkaya,
To Jitani Baar Mehak Ko Humne Apni Saanson Mein Paya,
Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.