Valentines day sms ,April fool sms 2014, Easter sms Wishes, Love quotes sayings, Romantic sms messages poetry & Sad text messages in Urdu and Hindi

Islamic Sms messages

Islamic Sms shayari sms in Urdu for your friends. Islamic Sms poetry , ghazal , poem and sher o shayari in Hindi. Best 1 line , 2 line and 4 line Islamic Sms shayari Collection Online.

Islamic shayari

Posted in Islamic Poetry by Anila

 

Nawaza jo kuch bhi mere Khuda ne mujhe,
Peechey waseela mere sarkaar ka hai,

Gaye jo aap “Sidratul-Muntaha” se bhi agey,
Rutbaa kitna ooncha mere sarkaar ka hai,

Ghulami-e-Rasool mein baha de gaye lahuu bhi apna,
Mera jism, Meri rooh, Sabhi mere sarkaar ka hai..

 

 

Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh
Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh
Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

 

Beeta hai jo mere upar
Apne pyare nabi ko sunaon ga
Darood partha hua jab mein madine jaoga
Rootay rootay apna haal sunaao ga
Jab un kay qadam mubarak ki jali ko haath lagao ga
Namaz parnhay jab masjid e nabwi jaon ga
Apney ap ko un kay hawalay dey kar ayo ga
Ae kash mujhe mout a jaye
Yeh kah kar un ki chohkat say lout jayo ga
Apnay gunaho ko bakshavnay kay liye
apne dil ko azmnay kay liye dey ao ga
apni rooh ko sambhal jane kay liye
Apnay aqa kay mazaar par ja kar
Maafi mango ga apni har hatha par
Qali qameli wale ko batao ga apne khaalat
Kia kia beeti hain uski umaat kay
opaar unkay bichaar janay kay baad
Apni chahat ka izhaar karnay kay liye
Aaqa ka deedar karnay kay liye
So jaon ga unki chohkat par
Maafi ki talaab kay liye

 

Share with us more ..Islamic shayari .in comments section below

Islamic sher

Posted in Islamic Poetry by Anila

Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa Be Ho Bandagi Chahiye

Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye

Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aysi Allah Mujhe Bebasi Chahiye

Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main
Mere Malak Aagahi Chahiye

Main Jhukun Or Jhukun Bus Jhuka He Rahun
Ibbadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye

Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye

 

Jahan Jahan Bhi Ujala Dekhai Deta Hai,
Mere Huzoor Ka Jalwa Dekhai Deta Hai,
Yeh Aarzu Hai Waheen Jaa Ke Mera Dum Nikle,
Jahan Se Gumbad-e-Khazra Dekhai Deta Hai

 

Meri Baat Ban Gaye Hai,

Aaqa Teri Baat Karte Karte,

Sheher Main Me Aao,

Aaqa Teri Naat Parte Parte

Share with us more Islamic sher .in comments section below.

Islamic sher o shayari

Posted in Islamic Poetry by Anila

 Akhbaar aur risaalon ko palkon pe rakhliya
Allah ki kitaab ko taaqon mein rakhdiya
Muslim ke haathon hoti hai zillat Quran ki

 

Sarr Gair Ke Aage Na Jhukaane Vaala
Aur Nezey Pe Bhi Quraan Sunaane Vaala
Islam Se Kya Poochte Ho Kaun Hussain
Islam Ko Islam Banaane

 

Ramadhan ke maheene mein Allah ke qareeb
Gyaarah maheene hum to hain shaitaan ke qareeb
Bolo kahaan se paayenge barkat Quran ki

 

Share with us more Islamic sher o shayari in comments section below.

Funny Ramadan Mubarak Sms

Posted in Ramadan Shayari by admin

1 Pao Dahi
1 Glass Milk
3 To 4 Parathy
2 Glass Lassi
2 Zinger Burger
4 Kabab
4 Eggs Fry
6 Eggs Boil
4 To 6 Glass Water
2 To 3 Pieces Chicken
4 Packages Maggie,
Aur
6 Banas Khaen.
Insha Allah Bhook Nahi Lagegi.