Sad Shayari SMS messages
Nazar Nazar Ka Farq Hota Hai Husn K Nahi Iqbal
Nazar Nazar Ka Farq Hota Hai Husn K Nahi Iqbal
Mehbob Jis Ka Bi Ho Jaisa B Ho Be Misal Hota Ha
Gazab kiya, tere wade pe aitabar kiya
gazab kiya, tere wade pe aitabar kiya
tamam raat qayamat ka intezar kiya
hansa hansa ke shab-e-vasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de-de ke beqarar kiya
hum aise mahv-e-nazara na the jo hosh aata
magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya
fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi
kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya
ye kis ne jalva hamare sar-e-mazar kiya
ki dil se shor utha, hae! beqarar kiya
tadap phir ae dil-e-nadan, ki gair kahate hain
aakhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiya
bhula bhula ke jataya hai unko raz-e-nihan
chipa chipa ke mohabbat ko aashakar kiya
tumhen to vada-e-didar hum se karana tha
ye kya kiya ke jahan ko ummidavar kiya
ye dil ko tab kahan hai ke ho malandesh
unhone wada kiya hum ne aitabar kiya
na puch dil ke haqiqat magar ye kahate hain
wo beqarar rahe jisne beqarar kiya
kuch aage davar-e-mahashar se hai umeed mujhe
kuch aap ne mere kahane ka aitabar kiya
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Daag Dehlvi
Sad Poetry in Hindi
Sad Hindi Poetry Sms
Bhar Ayi Ankhe Jb Unka Naam Aya
Isq Nakam Hi Sahi Fr B Boht Kaam Aya
Humne Ishqme Aisi B Guzari H Rate
Jbtk Ansu Na Bahe Dilko Aaram Na Aya
Sad Urdu Poetry – Yeh Do Char Ansuu
Khwab Khoday Tu Teri Yaad K Khander Niklay
Khud Mein Doobay Tu Teri Zaat K Ander Niklay
Be Wajah Na Thi Be Jaan Baaton Ki Chahat
Dil Jo Toota Tu Tery Piyar K Mander Niklay
Hum To Samjhay Thay K Hon Gay Yeh Do Char Ansuu
Ronay Bethey To Samander K Samander Nikley…!
Kabhi Palkon Pe Aansoo
Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat HAI
Jo Aata Hai Woh Jataa Hai Yeh Duniya Aani Jaani Hai
Yahan Her Shaks Musafir Hai Safar Mein Zindagani Hai
Ujalon Ki Zaroorat Hai Andhera Meri Kismat Hai
Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai
Ansuu Rona Shairy Hindi
Aisa Saathi Chahiye Jo Hume Apna Maan Sake
Humaare Har Dukh Ko Jaan Sake
Chal Rahe Ho Hum Tez Baarish Mei
Fir B Paani Mei Se Aansooo Ko Pehchaan Sake
Ansoo Shairy Hindi SMS
Ab Aansoun Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gaye To Khud Ko Jalaana Hoga
Ye Na Samajhna Ke Tum Se Bichar Ke Khush Hain Hum
Humein Laugon Ki Khaatir Muskurana Hoga
Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aayi Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga
Urdu Sad Shayari
Socha Yaad Na Kar K Thora Tadpaye Unko
Kisi Aur Ka Naam Ley Kar Jalayain Unko
Par Koi Chot Unko Lagi To Dard Hame Hoga
Ab Koi Ye Bataye K Kis Tarah Satayein Unko
Hindi Sad Shayari – Rula Dete
Kaha Koi Aisa Mila Jispe Dil Luta Dete
Har Ek Ne Dhoka Diya Kis-Kisko Bhula Dete
Apne Dil Ka Dard Dil Hi Mein Dabaye Rakhe Hain
Karte Bayan To Mehfil Ko Rula Dete
Sad Shayaris – Teri Yaad
Ajj Tari Yad Ko Sinay Sa Laga Ka Roye
Apne Khabon Mai Pass Bula Ka Roye
Sankro Pukara Tuje Tanhayon Mai
Aur Har Bar Tuje Na Pa Ka Roye
Sad Poetry SMS – Tum Se Meri Bat Hoi Thi
Tum Se Meri Bat Hoi Thi
Tum Ne Mujh Ko Samjhaya Tha
Apni Zaat Se Bahar Niklo
Ghar Ko Lauto, Ghar Ko Dekho
Aur Bhi Log Tumhare Dam Se Zinda Hain
Tum Main Apni Sari Khushiaan
Dekh Rahe Hain
Soch Liya Hai
Dekh Liya Hai
Laut Aaya Hon
Lekin Mere Andar Koi Tot Gaya Hai
Sad Shayari SMS – Udas Rehta Hoon
Tujh Say Bichar Kar Bhi Teray Paas Rehta Hoon
Khuda Gawah Hay Main Bohat Udas Rehta Hoon
Urdu Sad Shayari – Guman Hun Na Qayas Hun
Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas Hun
Kabhi Aa Key Mujhse To Pochta K Mai Kis K Gham Mai Udass Hun
Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Mai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass Hun
Yeh Teri Umeed Ko Kia Hua Kabhi Tune Ghour Nahi Kia
Ksi Sham Tune Kaha To Tha Teri Sans Hun Teri Aas Hun
Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kai Din Se Yunhi Udass Hun
Ksi Or Ki Ankh Se Dekh Kar Mujhe Aise Wase Laqab Na Dey
Tera Aietbar Hun Jan-E-Man Na Guman Hun Na Qayas Hun
