Valentines day sms ,April fool sms 2014, Easter sms Wishes, Love quotes sayings, Romantic sms messages poetry & Sad text messages in Urdu and Hindi

Yagna Yaas Changezi Shayari messages

Yagna Yaas Changezi Shayari shayari sms in Urdu for your friends. Yagna Yaas Changezi Shayari poetry , ghazal , poem and sher o shayari in Hindi. Best 1 line , 2 line and 4 line Yagna Yaas Changezi Shayari shayari Collection Online.

Mujhe dil ke khata par ‘yas’ sharmana nahi aata – Yagna Yaas Changezi

Posted in Dil Shayari,Pyar by Anila

mujhe dil ke khata par ‘yas’ sharmana nahi aata
paraya jurm apne naam likhavana nahi aata
bura ho pa-e-sarkash ka ki thak jana nahi aata
kabhi gumrah ho kar reh par aana nahi aata

mujhe ae nakhuda aakhir kisi ko muh dikhana hai
bahana kar ke tanha par utar jana nahi aata

musibat ka pahad aakhir kisi din kat hi jayega
mujhe sar mar kar teshe se mar jana nahi aata

asiro shauq-e-azadi mujhe bhi gudgudata hai
magar chadar se bahar panv phailana nahi aata

dil-e-behausala hai ik zara si tis ka mehman
wo aansu kya piyega jis ko gham khana nahi aata

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Yagna Yaas Changezi