Hamen to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai – Asrar Ansari
hamen to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai
tumhen bhi kya kabhi koi divana yaad aata hai
havayen tez thin barish bhi thi tufan bhi tha lekin
tera aise mein bhi wada nibhana yaad aata hai
guzar chuki thi bahut raat baton baton mein
phir uth ke wo tera shamma bujhana yaad aata hai
ghatayen kitni dekhi hain par mujhe ‘asrar’
kisi ka rukh par wo zulfen girna yaad aata hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Asrar Ansari
on October 14th, 2014 at 2:51 pm
ایک میری حقیقت گویٔی اور ایک میری وفا
* خان *
یقین مانو اِن دونوں نے بهت رُلایا هیں