Hanste Hue, Aankhon Main Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Hanste Hue, Aankhon Main Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yun Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka
Jaane Kahan Se Aankhon Main Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Se Na Taqdeer Se
Meri Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Shayad Khabar Hai In Ko Bhi Kis Qadar Tanha Hoon Main
Tanhaayi Main Mera Saath Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!
on November 13th, 2011 at 12:53 am
Ye Ashk kya chij hai galib?
kush hue to aaya,
gum hua to aaya.
kuch paaya, kuch khoya, to aaya.
humsafar lamhe bhar ko juda hue,
sadiyon se juda koi ek pal ko nazar aaya, to aaya.
kisi ko har baat pe aaya.
koi kabhi khul kar na roo paya.
Ye Ashk kya chij hai galib?
Ye Ashk kya chij hai?