Valentines day sms ,April fool sms 2014, Easter sms Wishes, Love quotes sayings, Romantic sms messages poetry & Sad text messages in Urdu and Hindi

Jab meri haqiqat ja ja kar un ko sunai logon ne – Ibrahim Ashk

Sms posted in category Aankhon,Dil Shayari by Anila

Jab meri haqiqat ja ja kar un ko sunai logon ne
kuch sach bhi kaha kuch jhooth kaha kuch baat banai logon ne
dhayen hain hamesha zulm-o-sitam duniya ne muhabat valon par
do dil ko kabhi milane na diya divar uthai logon ne
aankhon se na aansu ponch sake honton pe khushi dekhi na gai
aabad jo dekha ghar mera to aag lagai logon ne
tanhai ka sathi mil na saka ruswai mein shamil shahar hua
pahale to mera dil tod diya phir id manai logon ne
is daur mein jina mushkil hai ae ‘ashk’ koi aasan nahi
har ik qadam par marane ke ab rasm chalai logon ne

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Ashk

This SMS message is submitted under following tags ,, , , ,

One Response to 'Jab meri haqiqat ja ja kar un ko sunai logon ne – Ibrahim Ashk'

Subscribe to comments with RSS or TrackBack to 'Jab meri haqiqat ja ja kar un ko sunai logon ne – Ibrahim Ashk'.

  1. Dharmendra kanathe said,

    on February 9th, 2017 at 4:28 pm

    अक्सर मुझसे ये भूल हो जाती है, की गैरों को मै अपना समझ लेता हूँ। वो इसीलिये क्यो कि कुछ गैरों ने मुझे अपनो कि तरह चाहा।

    Alfaaz :- D.k.

Post a comment / SMS