Valentines day sms ,April fool sms 2014, Easter sms Wishes, Love quotes sayings, Romantic sms messages poetry & Sad text messages in Urdu and Hindi

Tumhare gham ka mausam hai abhi tak – Anees Ansari

Sms posted in category Gham,Mausam Shayari by Anila

Tumhare gham ka mausam hai abhi tak
lab-e-tashna pe shabanam hai abhi tak

safar mein aabale hi aabale the
magar pairon mein dam-kham hai abhi tak

tumhare band dar mujh se khafa hain
mere jine ka matam hai abhi tak

teri aab-o-hava ras aa gai thi
bichad jane ka kuch gham hai abhi tak

gai rut mein hui thi fasl achi
idhar panii gira kam hai abhi tak

main khud ko dhundhata phirta hun sab mein
junun ka ik aalam hai abhi tak

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Anees Ansari

This SMS message is submitted under following tags ,, , , ,

3 Responses to 'Tumhare gham ka mausam hai abhi tak – Anees Ansari'

Subscribe to comments with RSS or TrackBack to 'Tumhare gham ka mausam hai abhi tak – Anees Ansari'.

  1. ifrahmustaqeem said,

    on August 3rd, 2013 at 10:17 am

    musam hy barsat ka or yad tmhari ati hy. barsat k har ek katre sy awaz tmhari aa ti hy. badal jab garajte hen to dil ki har ek dharkn bhr jati hy.or dil ki har ek dharkan sy awaz tmhari aati hy. musam hy barsat ka or yad tmhari ati hy

  2. ifrahmustaqeem said,

    on August 3rd, 2013 at 10:24 am

    A kash koi hame itna piyar karta. k apni har aziz chiz ham pe war karta. lag jati chot chhoti hi sai.wo marham ki jaga hame yad karta. A kash koi hame tina piyar karta A kash koi hame tina piyr karta.

  3. ifrahmustaqeem said,

    on August 3rd, 2013 at 10:25 am

    ye dono meri shairi hen

Post a comment / SMS