Tanha tanha hum ro lenge mahafil mahafil gayenge – Nida Fazli
Tanha tanha hum ro lenge mahafil mahafil gayenge
jab tak aansu pas rahenge tab tak geet sunayenge
tum jo socho wo tum jano hum to apni kahate hain
der na karana ghar jane mein varana ghar kho jayenge
bachon ke chote hathon ko chand sitare chune do
char kitaben padh kar wo bhi hum jaise ho jayenge
kin rahon se dur hai manzil kon sa rasta aasan hai
hum jab thak kar ruk jayenge auron ko samajhayenge
achi surat wale sare patthar-dil ho mumkin hai
hum to us din rae denge jis din dhoka khayenge
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli
on June 25th, 2014 at 4:54 am
Tareef kare kya uski pass mere alfaaz nahi hai,
Yado mai uski itna khoya mujhko bhi apni yaad nahi hai,
Uski 1 muskan par yaro mai to dil luta baitha hu,
Tareef karu kya un julfo ki aisa to resham ka bhi taar nahi hai,
Wo sadgi se chalna,
Wo adao mai muskurana,
Wo gusse ka dikhana,
aur dikha ke rulana,
Tareef karu kya un bato kee ki aisi koi aur baat nahi hai….
on September 5th, 2014 at 7:30 am
Very nice